Ye Dolet Bhe Le Lo Ye Shohret Bhe Le Lo Bhaly Chheen Lo Mujh Se Meri Jawaani....
Magar Mujh Ko Lota Do Bachpan Ka Sawan Wo Kaghaz Ki Kashti Wo Barish Ka Pani
Muhallay Ki Sabse Purani Nishaani Wo Burhiya Jise Bachhe Kahte The Naani
Wo Naani Ki Baton Me Paryon Ka Dera Wo Chehre Ki Jhurion Me Sadion Ka Phera.
Bhulaaye Nahi Bhool Sakta Hai Koi Wo Chhoti Si Raten Wo Lambi Kahani
Kabhi Rait Ke onche Teelon Pe Jana Gharonde Banana Bana Kar Mitana...
Wo Masum Chahat Ki Tasveir Apne Wo Khabon Khiyalon Ki Jageer Apne
Na Duniya Ka Gham Tha Na Rishton Ke Bandhan Bari Khoobsurat Thi Wo Zindagani
Ye Doulat Bhi Le Lo, Ye Shohrat Bhi Le Lo Bhale Chheen Lo Mujh Se Meri Jawaani
Magar Mujh Ko Lota Do Bachpan Ka Sawan Wo Kaghaz Ki Kashti Wo Barish Ka Pani...