Pages

Monday, July 24, 2017

Tu Shaheen Hai Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

Tere Sofe Hain Afarangi, Tere Qaleen Hain Irani
Lahoo Mujh Ko Rulati Hai Jawanon Ki Tan Asani

Amarat Kya, Shikoh-e-Khusrawi Bhi Ho To Kya Hasil
Na Zor-e-Haidari Tujh Mein, Na Istaghna-e-Salmani

Na Dhoond Iss Cheez Ko Tezeeb-e-Hazir Ki Tajali Mein
Ke Paya Man Ne Istaghna Mein Meeraj-e-Musalmani

Auqabi Rooh Jab Baidar Hoti Hai Jawanon Mein
Nazar Ati Hai Iss Ko Apni Manzil Asmanon Mein

Na Ho Naumeed, Naumeedi Zawal-e-Ilm-o-Irfan Hai
Umeed-e-Mard-e-Momin Hai Khuda Ke Raazdanon Mein

Nahin Tera Nasheman Qasr-e-Sultani Ke Gunbad Par
Tu Shaheen Hai Basera Kar Paharon Ki Chatanon Mein

2 comments:

Usne chaha hi nahi sath mein rehna warna

Usne chaha hi nahi sath mein rehna warna Hum mohabbat mein jaan bhi de dete jaan ki khatir