Pages

Monday, July 14, 2014

Do pall ruka Khuabon ka karwa Written Ghazal

Do pall ruka Khuabon ka karwa
Or phir chal diye tum kha hum kha

Do pall ki thi Ye Dilon ki dastan
Or phir chal diye tum kha hum kha

Tum thy k thi koi ujli kiran
Tum thy ya koi kali muskai thi

Tum thy ya sapno ka tha sawan
Tum thy k khushiyon ki ghata chai thi

Tum Thy k tha koi phool khila
Tum Thy ya mila tha mujhy naya jaha

Do pall ruka khuabon ka karwa
Or phir chal diye tum kha hum kha

Do pall ki thi ye dilon ki dastan
Or phir chal diye tum kha hum kha

Tum thy ya khushbo hawaon me thi
Tum thy ya rang sari dishaon me thy

Tum thy ya roshni rahon me thi
Tum thy ya k gonj fizaon me thi

Tum thy mily ya mili thi manzalain
Tum thy ya tha jado bhara koi sama

Do pall ruka Khuabon ka karwa
Or phir chal diye tum kha hum kha

Do pall ki thi Ye Dilon ki dastan
Or phir chal diye tum kha hum kha

No comments:

Post a Comment

Usne chaha hi nahi sath mein rehna warna

Usne chaha hi nahi sath mein rehna warna Hum mohabbat mein jaan bhi de dete jaan ki khatir