Pages

Monday, July 24, 2017

ae hamala! ae faseel e kishwar e hindustan

ae hamala! ae faseel e kishwar e hindustan 
choomta ha teri paishani ko jhuk ker aasman


tujh mein kuch paida nahin derina rozee ke nishan
tu jawan hai gardish e sham o saher ke darmiyan


aik jalwa tha kaleem e toor e sina ke liye
tu tajali hai sarapa chasm e beena ke liye


imtihan e didah zahir mein kohistan hai tu
pasban apna hai tu, dewar e hindustan hai tu


matla e awwal falak jis ka ho vo diwan hai tu
suay khilwat gah e dil daman kash e insan hai tu


barf ne bandhi hai dastar e fazilat tere sar
khanda zan hai kalah e meher e aalam taab par


teri umar e rafta ki ek aan hai ehad e kuhan
wadiyon mein hain teri kali ghataen khema zan


chotiyan teri surayya se hain sargaram e sukhan
tu zameen per aur pehna e falak tera watan


chasma e daman tera aaeena siyyal hai
daman e mouj e hawa jis ke liye rumal hai

abar ke hathon mein rahwar e hawa ke waste
taziyana de diya barq e sar e kohsar ne


Ae hamala koi bazi gah hai tu bhi, jise
dast e qudrat ne banaya hai aanasir ke liye

haye kya firat e tarab mein jhoomta jata hai abar
feel e be zanjeer ki surat ura jata hai abar


junbish e mouj e naseem e subah gehwara bani
jhoomti hai nasha e husti mein har gul ki kali


yun zuban e berg se goya hai iss ke khamshi
dast e gulcheen ki jhatak mein ne nahin dekhi kabhi


keh rahi hai meri khamoshi hi afsana mera
kunj e khalwat khana e qudrat hai kashana mera


aati hai nadi faraz e koh se gati huwi
kausar o tasneem ki moujon ko sharmati huwi


aaeena sa shahid e qudrat ko dikhlati huwi
sang e reh se gah bachti gah takrati huwi


chairti ja iss iraq e dil nasheen ke saaz ko
ae musafir dil samjhta hai teri awaz ko


laila e shab kholti hai aa ke jab zulf e rasa
daman e dil khenchti hai aabsharon ke sada


vo khamoshi sham ki jis per takalum ho fida
vo darkhton per tafakkur ka saman chaya huwa


kanpta phirta hai kya rang e shafaq kohsar per
khushnuma lagta hai ye ghazah tere rukhsar per


ae hamala! dastan uss waqt ki koi suna
maskan e aabaay insan jab bana daman tera


kuch bata uss seedhi sadi zindagi ka majra
dagh jis par ghaza rang e takalluf ka na tha


Haan dikha de ae tasawwar phir woh subah o sham tu
dorh piche ki taraf ae ghardish e ayyam tu

No comments:

Post a Comment

Usne chaha hi nahi sath mein rehna warna

Usne chaha hi nahi sath mein rehna warna Hum mohabbat mein jaan bhi de dete jaan ki khatir