Pages

Saturday, July 22, 2017

phatay huye libas se ye shakhsiyat na toliye

phatay huye libas se ye shakhsiyat na toliye
khuda ka khoaf khaiye na bad kisi ko boliye

koi daleel moatabar nahi hai ishq samne
muhabbaton ki jheel main yu zeher to na kholiye

udas hia nazar to rooh main bhi ik fishaar hai
ujjar chukay bohot hamain mazeed to na roliye

hai jism o jan ko das raha yeh silsila sakoot ka
huzoor ap chup kharay hain kiu? labon ko kholiye!

ye kya k raqs e khamshi rahay hamaray chaar soo
zara sama'aton main ras muhabbaton k gholiye

jo das gaye, to ab ye apne aap per malaal hai
k paltay rahay thay aasteen main hum sapoliye

dheyan uska aor hi taraf tha phir bhi janay kiu
wo muj se keh rahi thi, " jee main sun rahi hon boliye

No comments:

Post a Comment

Usne chaha hi nahi sath mein rehna warna

Usne chaha hi nahi sath mein rehna warna Hum mohabbat mein jaan bhi de dete jaan ki khatir